Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai

Naat Lyrics

ज़हरा का दिल अली का दुलारा हुसैन है / Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai
ज़हरा का दिल ‘अली का दुलारा हुसैन है
प्यारे नबी की आँखों का तारा हुसैन है

हर जन्नती जवाँ की क़यादत है उस के हाथ
अल्लाह की नज़र में यूँ प्यारा हुसैन है

काँधे पे जो रसूल के होता रहा सवार
क़िस्मत का एक शोख़ सितारा हुसैन है

मैदान-ए-कर्बला से है गूँजी यही सदा
इस्लाम का सुतून-ओ-सहारा हुसैन है

सर को कटा के, मोमिनो ! साबित ये कर दिया
ईमान और यक़ीन का धारा हुसैन है

इस्लाम के लिए थी शहादत हुसैन की
सौग़ात-ए-नानाजान पे वारा हुसैन है

‘उक़्बा का ताजवर ही नहीं है ‘अली का ला’ल
दुनिया के हर जवाँ में भी न्यारा हुसैन है

जिस ने यज़ीदियों से सुल्ह-ए-कुल न की कभी
बातिल के सर पे हक़ का शरारा हुसैन है

शायर:
हाफ़िज़ुल्लाह क़ासमी

ना’त-ख़्वाँ:
संदली अहमद

 

zahra ka dil, ‘ali ka dulaara husain hai
pyaare nabi ki aankho.n ka taara husain hai

har jannati jawaa.n ki qayaadat hai us ke haath
allah ki nazar me.n yu.n pyaara husain hai

kaandhe pe jo rasool ke hota raha sawaar
qismat ka ek shoKH sitaara husain hai

maidaan-e-karbala se hai goonji yahi sada
islaam ka sutoon-o-sahaara husain hai

sar ko kaTa ke, momino ! saabit ye kar diya
imaan aur yaqeen ka dhaara husain hai

islaam ke liye thi shahaadat husain ki
sauGaat-e-naanaajaan pe waara husain hai

‘uqba ka taajwar hi nahi.n hai ‘ali ka laa’l
duniya ke har jawaa.n me.n bhi nyaara husain hai

jis ne yazeediyo.n se sulh-e-kul na ki kabhi
baatil ke sar pe haq ka sharaara husain hai

Poet:
Hafizullah Qasmi

Naat-Khwaan:
Sandali Ahmad

Comment karein

Aapka email publish nahi hoga.