sarkaar-e-Gaus-e-aa’zam! nazar-e-karam Khuda-ra
mera khaali kaasa bhar do, main faqeer hoon tumhaara
sab ka koi na koi duniya mein aasra hai
mera bajuz tumhaare, koi nahi sahaara
maula Ali ka sadqa, ganj-e-shakar ka sadqa
meri laaj rakh lo ya Gaus! main mureed hoon tumhaara
jholi ko meri bhar do, warna kahegi duniya
aise sakhi ka mangta phirta hai maara maara
meeraan bane hain dulha, mehfil saji hui hai
sab auliya baraati, kya khoob hai nazaara!
ye ata-e-dast-geeri koi mere dil se poochhe
wahin aa gaye madad ko, main ne jab jahaan pukaara
ye ada-e-dast-geeri koi mere dil se poochhe
wahin aa gaye madad ko, main ne jab jahaan pukaara
ye tera karam hai, murshid! jo bana liya hai apna
kahaan roo-siyaah Fareedi, kahaan silsila tumhaara