Hun Khak Magar Aalam-e-Anwaar Se Nisbat Hai

Hun Khak Magar Aalam-e-Anwaar Se Nisbat Hai

हूँ ख़ाक मगर आलम-ए-अनवार से निस्बत है / Hun Khak Magar Aalam-e-Anwaar Se Nisbat Hai

हूँ ख़ाक मगर ‘आलम-ए-अनवार से निस्बत है
मैं कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

दुनिया की शहंशाही रखता हूँ मैं ठोकर पर
कौनैन के उस मालिक-ओ-मुख़्तार से निस्बत है

मैं ख़ाक का पुतला हूँ, वो ‘अर्श के राही हैं
इस पार का बासी हूँ, उस पार से निस्बत है

हैं रोज़-ए-अज़ल से मेरी घुट्टी में वफ़ाएँ
नाज़ा हूँ कि ‘अब्बास ‘अलम-दार से निस्बत है

सर झुक नहीं सकते सर-ए-महशर भी हमारे
सर इस लिए ऊँचे हैं, सरदार से निस्बत है

हम मानने वाले हैं हुसैन इब्न-ए-‘अली के
वक़्त आए अगर दीं पे तो फिर दार से निस्बत है

सरकार के दामन से, अल्ताफ़ ! हूँ वाबस्ता
ग़म पास भी क्यूँ आएँ कि ग़म-ख़्वार से निस्बत है

शायर:
सय्यिद अल्ताफ़ शाह काज़मी

ना’त-ख़्वाँ:
उमेर मुनीर क़ादरी
तल्हा क़ादरी

 

hu.n KHaak magar ‘aalam-e-anwaar se nisbat hai
mai.n kuchh bhi nahi.n lekin sarkaar se nisbat hai

duniya ki shahenshaahi rakhta hu.n mai.n Thokar par
kaunain ke us maalik-o-muKHtaar se nisbat hai

mai.n KHaak ka putla hu.n, wo ‘arsh ke raahi hai.n
is paar ka baasi hu.n, us paar se nisbat hai

hai.n roz-e-azal se meri ghuTTi me.n wafaae.n
naazaa hu.n ki ‘abbas ‘alam-daar se nisbat hai

sar jhuk nahi.n sakte sar-e-mahshar bhi hamaare
sar is liye unche hai.n, sardaar se nisbat hai

ham maan.ne waale hai.n husain ibn-e-‘ali ke
waqt aaye agar dee.n pe to phir daar se nisbat hai

sarkaar ke daaman se, Altaaf ! hu.n waabasta
Gam paas bhi kyu.n aae.n ki Gam-KHwaar se nisbat hai

Poet:
Syed Altaf Shah Kazmi

Naat-Khwaan:
Umer Munir Qadri
Talha Qadri

Leave a Comment