Haal e ummat pe tawajju ki nazar ho jaye Naat Lyrics

Haal e ummat pe tawajju ki nazar ho jaye Naat Lyrics

Haal e ummat pe tawajju ki nazar ho jaye
Khatm ab zulm ka Aaqa! Ye pahar ho jaye

Sar sar e jor yahan behti hai har jaa Aaqa
Ham pareshan hain ab door ye shar ho jaye

Mulk maman bane jo phaile sadaqat ki hawa
Mere Sarkaar kabhi aisi sahar ho jaye

Doobe hain ham jo tahazzun me, nikal jayenge
Qalb e ummat pe karam ka jo matar ho jaye

Kufr o ilhaad ke tufa’n me phansi hai kishti
Aah! Ab door Khudara ye bhanwar ho jaye

Raah purkhaar hai nikla hun mai dee’n ki khatir
Paa bazakhmi hun ab aasa’n ye mamar ho jaye

Sarkashi aam huwi dahr me ab har jaanib
Haal aye kaash Tameem apna zabar ho jaye

Az: Syed Tameem Ashraf Hussaini Shamsi Ashrafi


हाल-ए-उम्मत पे तवज्जो की नज़र हो जाए
ख़त्म अब ज़ुल्म का आका! ये पहर हो जाए

सरसर-ए-जोर यहाँ बहती है हर जा आका
हम परेशान हैं अब दूर ये शर हो जाए

मुल्क मामन बने जो फैले सदाक़त की हवा
मेरे सरकार कभी ऐसी सहर हो जाए

डूबे हैं हम जो तहज़्ज़ुन में, निकल जाएंगे
क़ल्ब-ए-उम्मत पे करम का जो मतर हो जाए

कुफ़्र ओ इलहाद के तूफ़ान में फँसी है कश्ती
आह! अब दूर ख़ुदारा ये भँवर हो जाए

राह पुरख़ार है निकला हूँ मैं दीन की ख़ातिर
पा-बज़ख़्मी हूँ अब आसान ये ममर हो जाए

सरकशी आम हुई दहर में अब हर जानिब
हाल ऐ काश तमीम अपना ज़बर हो जाए

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top