karam ke baadal baras rahe hai.n
dilo.n ki kheti hari-bhari hai
ye kaun aaya ki zikr jis ka
nagar-nagar hai gali-gali hai
ye kaun ban kar qaraar aaya
ye kaun jaan-e-bahaar aaya !
gulo.n ke chehre hai.n nikhre-nikhre
kali-kali me.n shaguftagi hai
diye dilo.n ke jalaae rakhna
nabi ki mehfil sajaae rakhna
jo raahat-e-dil sukoon-e-jaa.n hai
wo zikr zikr-e-muhammadi hai