Daag-e-furqat-e-tayba qalb-e-muzmahil jaata
Kaash ! gumbad-e-khazra dekhne ko mil jaata
Mera dam nikal jaata un ke aastaane par
Un ke aastaane ki Khaak me me mil jaata
Mere dil se dhul jaata daag-e-furqat-e-tayba
Tayba me fana ho kar, tayba me hi mil jaata
Maut le ke aa jaati zindagi madine me
Maut se gale mil kar zindagi me mil jaata
Khuld-zaar-e-tayba ka is tarah safar hota
Peechhe peechhe sar jaata, aage aage dil jaata
Dil pe jab kiran padti, un ke sabz-gumbad ki
Us ki sabz rangat se baag ban ke khil jaata