DAAG-E-FURQAT-E-TAIBA QALB-E-MUJMAHIL JAATA
KAASH GUMBAD-E-KHAZRA DEKHNE KO MIL JAATA
MERA DAM NIKAL JAATA UNKE AASTAAN-E-PAR
UNKE AASTAAN KI KHAAK MEIN MAIN MIL JAATA
MERE DIL SE DHUL JAATA DAAG-E-FURQAT-E-TAIBA
TAIBA MEIN FANAA HOKAR TAIBA MEIN HI MIL JAATA
MAUT LEKE AA JAATI ZINDAGI MADINE MEIN
MAUT SE GALE MIL KAR ZINDAGI SE MIL JAATA
KHUD ZAAR-E-TAIBA KA IS TARAH SAFAR HOTA
PEECHHE PEECHHE SAR AATA AAGE AAGE DIL JAATA
DIL PE JAB KIRAN PADTI UNKE SABZ GUMBAD KI
UNKI SABZ RANGAT SE BAAGH BAN KE KHIL JAATA
FURQAT-E-MADINA NE WOH DIYE MUJHE SADME
KOH PAR AGAR PADTE, KOH BHI TOH HIL JAATA
DIL PE WOH QADAM RAKHTE NAQSH-E-PAA YEH DIL BANTA
YA TOH KHAAK-E-PAA BANKAR PAA SE MUTTASIL JAATA
UNKE DAR PE “AKHTAR” KI HASRATEIN HUI POORI
SAA’IL-E-DAR-E-AQDAS KAISE MUNFAIL JAATA